jabīn-e-shauq ko kuchh aur bhī izn-e-sa.ādat de
ki zauq-e-zindagī mahdūd sañg-e-āstāñ tak hai
naved-e-rustagārī par abas dil-shād hotā hai
abhī sad daam ai bulbul-e-qafas se āshiyāñ tak hai
ye ehsās-e-ta.alluq mujh ko miTne bhī nahīñ detā
ki terī dāstāñ kā rabt merī dāstāñ tak hai
tarāna chheḌ vo mutrib ki rūh-e-ishq chauñk uTThe
ḳharosh-e-nāla-e-ġham kyā jo soz-e-jism-o-jāñ tak hai
sarāpā aarzū ban kar kamāl-e-mudda.ā ho jā
vo nañg-e-ishq hai jo aarzū āh-o-fuġhāñ tak hai
zamāna chāhiye takmīl-e-zauq-e-lazzat-e-ġham ko
abhī duniyā-e-dil mahdūd zikr-e-īñ-o-āñ tak hai
bayābān-e-mohabbat kī navāzish pūchhnā kyā hai
ummīd-o-bīm kī hālat faqat sūd-o-ziyāñ tak hai
kahāñ se lā.egī duniyā hamārī himmateñ 'āsī'
mohabbat meñ qadam apnā faqat kaun-o-makāñ tak hai