Khwaja Mohammad Wazir

hamari is wafa par bhi dagha ki

Khwaja Mohammad Wazir

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1854
hamārī is vafā par bhī daġhā kī
qasam khaa.ī thī o kāfir ḳhudā kī
vo musht-e-ustuḳhvāñ huuñ ai sag-e-yār
agar khaa.e sa.ādat hai humā kī
lab-e-shīrīñ kā jo bosa liyā thā
mirī us kī shakar-rañjī rahā kī
vafā se maiñ ne bhī ab haath uThāyā
qasam hai mujh ko apne bevafā kī
huī gar sulh bhī to bhī rahe jañg
milā jab dil to aañkh us se laḌā kī
faqīroñ ke qadam lete haiñ sultāñ
ye hai tāsīr naqsh-e-boriyā kī
tasavvur bañdh gayā jab us mizha kā
to pahroñ dil pe barchhī sī lagā kī
ḳhudā yuuñ jis ko chāhe de sa.ādat
vagarna sag meñ ḳhaslat hai humā kī
nahīñ uThtā hai sar sajde se merā
magar hai sajda-gāh us ḳhāk-e-pā kī
kahūñ jab maiñ ki be tere huuñ martā
to kahtā hai vo but marzī ḳhudā kī
na aayā minnatoñ se yaar jis dam
to phir kyā kyā ajal ke iltijā kī
Top Urdushayar.com