sar mirā kaaT ke pachhtā.iyegā
kis kī phir jhūTī qasam khā.iyegā
thaam luuñ dil ko zarā hāthoñ se
abhī pahlū se na uTh jā.iyegā
kahiye yārān-e-adam kyā guzrī
kuchh lab-e-gor se farmā.iyegā
yūsuf-e-husn agar ġham hogā
aap yāqūb nazar ā.iyegā
kar ke isbāt-e-dahan kījiye vasf
dekhiye muñh kī abhī khā.iyegā
kam bhī dene meñ bahut fā.eda hai
bosa ik dījiye das pā.iyegā
ḳhat pe ḳhat likhi.yegā ai shāh-savār
ghoḌī kāġhaz kī bhī dauḌā.iyegā
mardum-e-chashm se aa.e jo hijāb
aañkh ke parde meñ chhup jā.iyegā
kyā garebāñ ne galā ghoñTā hai
idhar ai dast-e-junūñ ā.iyegā
kah ke paañv se chale yaar ke ghar
ham jo uThne lageñ so jā.iyegā
kah ke ye tum ho baḌe har baabe
dar-ba-dar kyā mujhe phirvā.iyegā
kyuuñ banāvaT se ajī rote haiñ aap
jhūTe motī kise dikhlā.iyegā
jaam saaqī se jo māñgā to kahā
bhar ke ashk aañkh meñ pī jā.iyegā
mus.haf-e-ruḳh kī qasam meñ hai maza
ham se qur.ān ye uThvā.iyegā
ḳhat ġhulāmī kā nahīñ ai yūsuf
ḳhat jo niklā hai na sharmā.iyegā
ham ne yūsuf jo kahā kyuuñ bigḌe
mol legā koī bik jā.iyegā
hazrat-e-ka.aba jo ban jā.iye arsh
dil kī vus.at na kabhī pā.iyegā
ham bhī aa nikleñge masjid meñ 'vazīr'
ḳhisht-e-ḳhum le ke jo banvā.iyegā