Khwaja Mohammad Wazir

chhanta hai KHak kya tu ghar banane ke liye

Khwaja Mohammad Wazir

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1854
chhāntā hai ḳhaak kyā tū ghar banāne ke liye
fikr rahne kī na kar aayā hai jaane ke liye
aur ko kyā rañj duuñ rāhat uThāne ke liye
ek tinke ko na chheḌūñ āshiyāne ke liye
barq thī betāb mere āshiyāne ke liye
abr se bhī peshtar aa.e jalāne ke liye
kaam aa.ī murġh-e-gulshan ke mirī kāhīdgī
le gayā tinkā samajh kar āshiyāne ke liye
is chaman se gul chale bulbul garebāñ phaaḌ kar
hai junūñ tinke jo chunñe āshiyāne ke liye
ham ne kyuuñ māñgī thī gulshan meñ duā-e-josh-e-gul
ab jagah miltī nahīñ hai āshiyāne ke liye
phir vahī ham the vahī tum the mohabbat thī vahī
sulh kar lete agar āñkheñ laḌāne ke liye
huuñ vo ġham-dīda hañse koī to maiñ rone lagūñ
kuchh bahānā chāhiye aañsū bahāne ke liye
saaya paḌ jaa.e agar zulf-e-darāz-e-yār kā
phir kahūñ maiñ bhī tasalsul hai zamāne ke liye
huuñ vo dīvāna ki ban kar ho vo majnūñ kī shabīh
merī miTTī leñ agar lailā banāne ke liye
pahuñchī hai shāne talak kyā yaar kī zulf-e-rasā
dard kyuuñ paidā huā hai mere shāne ke liye
jumla-tan hai chashm-e-nargis yaar terī diid ko
gul hama-tan-gosh haiñ tere fasāne ke liye
yuuñ mirī qismat meñ thā parvāz karnā yā nasīb
nochte haiñ tifl par mere uḌāne ke liye
kaun hogā tere tīroñ kā nishāna mere ba.ad
ḳhaak le jaanā mirī tuuda banāne ke liye
bazm-e-ālam meñ khaḌā huuñ par chalā jaatā huuñ maiñ
siikh lī hai sham.a se raftār jaane ke liye
kyuuñ dil-e-betāb ko dikhlāyā ḳhāl-e-zer-e-zulf
daam meñ machhlī nahīñ aane kī daane ke liye
ho agar sar-gashtagī meñ fikr-e-ta.amīr-e-makāñ
ḳhaak uḌā laa.e bagūla ghar banāne ke liye
ab kisī gul-rū ke dil meñ kījiye ghar ai 'vazīr'
kyā chaman meñ tinke chuniye āshiyāne ke liye
Top Urdushayar.com