Ijtiba Rizvi

churane ko chura laya main jalwe ru-e-raushan se

Ijtiba Rizvi

Chhapra, Bihar, India

1908-1991
churāne ko churā laayā maiñ jalve rū-e-raushan se
magar ab bijliyāñ lipTī huī haiñ dil ke dāman se
tanavvo kuchh to ho ai bulbul-e-kam-zauq mātam kyā
agar tāmīr-e-sahrā ho ga.ī taḳhrīb gulshan se
mujhe kuchh tajrabe har rañg ke jholī meñ rakh chalnā
musāfir huuñ ġharaz kyā hai mujhe sahrā o gulshan se
mujhe har kārvāñ se chhūTnā is bad-gumānī meñ
ki shāyad rāhbar ko rabt-e-pinhānī ho rahzan se
mazāq-e-jazb-e-bātin gum hai ab taz.īn-e-zāhir meñ
ye tifl-e-dasht-e-aiman ghaT gayā tahzīb-e-gulshan se
Top Urdushayar.com