Ijtiba Rizvi

zuhur-e-paikri sahra mein hai sirf ek nishan mera

Ijtiba Rizvi

Chhapra, Bihar, India

1908-1991
zuhūr-e-paikrī sahrā meñ hai sirf ik nishāñ merā
ġhubār-e-kārvāñ huuñ duur niklā kārvāñ merā
rasā.ī marg-e-shauq-uftādgī nañg-e-tan-āsānī
balā kī kashmakash hai aur ġhubār-e-nā-tavāñ merā
mujhe ghabrā ke dosh-e-hasti-e-jāved par pheñkā
koī dam bhī na uTThā maut se bār-e-girāñ merā
mire sāz-e-nafas kī ḳhāmushī par ruuh kahtī hai
na aa.ī mujh ko niind aur so gayā afsāna-ḳhvāñ merā
ḳharābī ḳhanda-zan hai koshish-e-tāmīr par merī
qafas ko toḌtā jaatā hai shauq-e-āshiyāñ merā
Top Urdushayar.com