Ijtiba Rizvi

KHirad ko KHana-e-dil ka nigah-ban kar diya humne

Ijtiba Rizvi

Chhapra, Bihar, India

1908-1991
ḳhirad ko ḳhāna-e-dil kā nigah-bāñ kar diyā ham ne
ye ghar ābād hotā is ko vīrāñ kar diyā ham ne
chhupoge kyā digar rañg-e-shabistāñ kar diyā ham ne
ki apne ghar ko phūñkā aur charāġhāñ kar diyā ham ne
ghuTe jaate the tum mīnā-e-qalb-e-ahl-e-ḳhalvat meñ
tumheñ jām-e-kaf-e-sahrā-nashīnāñ kar diyā ham ne
anīs-e-ḳhvājgāñ tum the jalīs-e-ḳhvājgāñ tum the
magar tum ko nasīb kam-nasībāñ kar diyā ham ne
harīm-e-nāz se tum ko churā laane ke mujrim haiñ
ye sahrā thā ise bhī kū-e-jānāñ kar diyā ham ne
nazar vaalo zarā chāk-e-garebāñ dekhte jaao
ise chāk-e-naqāb-e-rū-e-jānāñ kar diyā ham ne
zamīñ ḳhākistar-e-yak shola-o-yam āb-e-yak-girya
yahī vo āb-o-gil hai jis ko insāñ kar diyā ham ne
jafā se fitrat-e-āsūdgāñ tāmīr kī tum ne
vafā ko qismat-e-āshufta-hālāñ kar diyā ham ne
matā-e-husn mahsūsāt meñ arzāñ hī rah jaatī
girāñ us ko ba-yak taḳha.īl-e-yazdāñ kar diyā ham ne
khañDar meñ māh-e-kāmil kā sañvarnā is ko kahte haiñ
tum utre dil meñ jab dil ko bayābāñ kar diyā ham ne
amānat māñgtī thī ham se sāmān-e-nigah-dārī
tumhīñ ko shahr-e-ḳhāmoshī kā darbāñ kar diyā ham ne
Top Urdushayar.com