ik aḳhgar-e-jamāl farozāñ ba-shakl-e-dil
pheñkā idhar bhī husn-e-tajalli-nisār ne
afsurdagī bhī husn hai tābindagī bhī husn
ham ko ḳhizāñ ne tum ko sañvārā bahār ne
is dil ko shauq-e-dīd meñ taḌpā ke kar diyā
kyā ustuvār va.ada-e-nā-ustavār ne
jalve kī bhiik de ke vo ha.Tne lage the ḳhud
dāman pakaḌ liyā nigah-e-e'tibār ne
gesū ġhubār-e-rāh-e-tamannā se aT na jaa.eñ
sahrā meñ aap nikle haiñ ham ko pukārne