hai ġhalat gar tire dāñtoñ ko kahūñ taare haiñ
ki dahan mus.haf-e-nātiq hai ye sīpāre haiñ
apnī hastī meñ to āsār-e-fanā saare haiñ
shaam ko zarre haiñ aur sub.h ko ham taare haiñ
kyā hī harjā.ī hasīnān-e-jahāñ saare haiñ
ye vo aḳhtar haiñ ki sābit nahīñ sayyāre haiñ
zā.iqa hoñToñ kā badlegā na missī maliye
hoñgī ye qand siyah ab to shakar-pāre haiñ
bādshāhoñ kī tarah phirte haiñ Dañke dete
ḳhār-e-pā chob haiñ aur aable naqqāre haiñ
chhup chale haiñ ḳhat-e-shab-rañg se ruḳhsār-e-sabīh
din hai kam shaam ke āsār ayaañ saare haiñ
sāġhar-e-chashm ke sau dene paḌeñge bose
shīsha-e-dil kabhī toḌā to ye kaffāre haiñ
ḳhat pe ḳhat roz bahā kar use pahuñchāte haiñ
ashk kaahe ko haiñ ye Daak ke harkāre haiñ
aab jaarī kiyā e.ajāz se ai bahr-e-karam
uñgliyāñ kaahe ko haiñ nuur ke favvāre haiñ
mus.haf-e-ruḳh ko vo dikhlā.eñ agar tīsoñ din
na.ī phabtī mujhe sūjhī kahūñ sīpāre haiñ
haath agar chhūne se jal jaa.e yad-e-baizā ho
la.al-e-lab us but-e-kāfir ke vo añgāre haiñ
rauñgTe kab haiñ in ā.īnoñ meñ haiñ paḌ ga.e baal
haath zaanū pe kabhī yaar ne de maare haiñ
pusht par hai jo sipar ḳham hue ho teġh kī tarah
chaar phuul us ke tumheñ phūloñ ke pushtāre haiñ
rū-ba-rū rahtī hai tasvīr-e-tasavvur shab-o-roz
ab to be-minnat-e-ḳhalq aap ke nazzāre haiñ
dekh kar tujh ko hasīñ kaTte haiñ bhūle haiñ banāv
kañghiyāñ karte nahīñ sar pe ravāñ aare haiñ
dil pe jo guzrī ḳhabar ashkoñ ne dī aa ke 'vazīr'
lā.eq-e-ḳhil.at-e-rūmāl ye harkāre haiñ