dil hai aur ḳhud nagrī zauq-e-duā jis ko kaheñ
be-ḳhudī chāhiye ham ko ki ḳhudā jis ko kaheñ
ham se ābād hai duniyā-e-tasavvur to kyā
ki nahīñ ek vo tasvīr ḳhudā jis ko kaheñ
jur.at-e-shauq hai kahte haiñ mohabbat jis ko
usī jur.at pe hai isrār-e-vafā jis ko kaheñ
samajh ai dost use zarb-e-nazar kī āvāz
ham kabhī dil ke dhaḌakne kī sadā jis ko kaheñ
qulzum-e-dil na huā ā.īna-sāmāñ ai dost
abhī aa jaatī hai ik mauj-e-duā jis ko kaheñ
hai tire kīsa-e-pindār meñ aisī koī chiiz
dil kī betāb mohabbat kā sila jis ko kaheñ