yaad meñ terī jahāñ ko bhūltā jaatā huuñ maiñ
bhūlne vaale kabhī tujh ko bhī yaad aatā huuñ maiñ
ek dhundlā sā tasavvur hai ki dil bhī thā yahāñ
ab to siine meñ faqat ik Tiis sī paatā huuñ maiñ
o vafā-nā-āshnā kab tak sunūñ terā gila
be-vafā kahte haiñ tujh ko aur sharmātā huuñ maiñ
ārzūoñ kā shabāb aur marg-e-hasrat haa.e haa.e
jab bahār aa.e gulistāñ meñ to murjhātā huuñ maiñ
'hashr' merī sher-goī hai faqat fariyād-e-shauq
apnā ġham dil kī zabāñ meñ dil ko samjhātā huuñ maiñ