FaIyaz Rashk

jari to ho sab ke liye farman-e-mohabbat

FaIyaz Rashk

Bihar, India

1953
jaarī to ho sab ke liye farmān-e-mohabbat
kar dījiye dil se zarā ailān-e-mohabbat
is shaḳhs ko dukh-dard satātā bhī nahīñ hai
jis dil meñ rahā kartā hai īmān-e-mohabbat
āñkhoñ se badan se tirī zulfoñ kī mahak se
kartā huuñ maiñ din-rāt hī ai jān-e-mohabbat
kyā kījiye merā na huā jis ke liye maiñ
kartā rahā har moḌ pe sāmān-e-mohabbat
kuchh bhī nahīñ behtar hai zamāne meñ kahīñ par
duniyā meñ nahīñ kuchh bhī hai shāyān-e-mohabbat
mushkil haiñ bahut rāste nafrat ke ai bhaa.ī
ham sab ke liye sab se hai āsān mohabbat
un ke liye duniyā bhī vasī.a hotī hai 'fayyāz'
hotā hai vasī.a jin kā bhī dāmān-e-mohabbat
Top Urdushayar.com