maiñ sarāpā maz.har-e-ism-e-ḳhudā vallāh huuñ
ham-safīro is chaman meñ murġh-e-bismillāh huuñ
kis taraf jā.ūñ dikhā do yā mohamād rāh-e-haq
yaañ har ik gumrāh kahtā hai maiñ ḳhizr-e-rāh huuñ
ai masīhā terī zulfoñ kī darāzī dekh kar
kahtī hī umr-e-ḳhizar maiñ gesū-e-kotāh huuñ
āsmāñ par bhī siyah-baḳhtī meñ hai merā dimāġh
ḳhāl-e-rū-e-mehr huuñ dāġh-e-jabīn-e-māh huuñ
kah rahī hai āsmāñ se yaar ke ghar kī zamīñ
tuur huuñ sahrā-e-aiman huuñ tajallī-gāh huuñ
baiThnā kaisā idhar aayā udhar raahī huā
din jo huuñ to muḳhtasar huuñ shab jo huuñ kotāh huuñ
allāh allāh kyā hai in ke paañv kī Thokar kā lutf
hai har ik but kī tamannā kaash sañg-e-rāh huuñ
roz-e-mahshar se 'vazīr' afzūñ hai is kāfir kā tuul
ab bhī kahtī hai shab-e-furqat bahut kotāh huuñ