Agha Hashr Kashmiri

chori kahin khule na nasim-e-bahaar ki

Agha Hashr Kashmiri

Banaras, Uttar pradesh, India

1879-1935
chorī kahīñ khule na nasīm-e-bahār kī
ḳhush-bū uḌā ke laa.ī hai gesū-e-yār kī
allāh rakkhe us kā salāmat ġhurūr-e-husn
āñkhoñ ko jis ne dī hai sazā intizār kī
gulshan meñ dekh kar mire mast-e-shabāb ko
sharmā.ī jaarī hai javānī bahār kī
ai mere dil ke chain mire dil kī raushnī
aa aur sub.h kar de shab-e-intizār kī
jur.at to dekhiyegā nasīm-e-bahār kī
ye bhī balā.eñ lene lagī zulf-e-yār kī
ai 'hashr' dekhnā to ye hai chaudhvīñ kā chāñd
yā āsmāñ ke haath meñ tasvīr yaar kī
Top Urdushayar.com