dam-bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-parī aañkh
mizhgāñ kī zabānoñ se kare nauhagarī aañkh
jam jaa.e tasavvur jo tire buuTe se qad kā
pathrā ke bane saaf aqīq-e-shajarī aañkh
le lījiye shīshe haiñ safed ashk nahīñ haiñ
nam bāda-kashī se ki ga.ī shīsha-garī aañkh
jaao jo chaman ko to kare farsh-e-rah-e-nāz
bulbul jigar-o-fāḳhta dil kabk-e-darī aañkh
dekhā jise bismil kiyā taakā jise maarā
us aañkh se Dariye jo ḳhudā se na Darī aañkh
jumbish udhar us ko hai to gardish idhar is ko
abrū hai ki shamshīr sipar hai ki phirī aañkh
kyā diid ke qābil tire kūche kī zamīñ hai
har gaam hai naqsh-e-qadam-e-rah-guzrī aañkh
tum jhāñk rahe ho ye tumheñ taak rahā hai
kyuuñ dīda-e-rauzan pe ajī tum ne dharī aañkh
kahtī hī tirī nāf-o-shikam dekh ke bulbul
ruḳhsār-e-gul-e-tar pe hai nargis kī dharī aañkh
ai maah ye sab chashm-e-falak ke haiñ ishāre
aise to na thī mā.il-e-be-dād-garī aañkh
nargis jo gulistāñ meñ hai to dasht meñ aahū
har rañg meñ dikhlāne lagī jalvagarī aañkh
gad kā kahīñ vo surma kā dumbāla uThā.e
hai dast-e-mizha meñ liye putlī kī phirī aañkh
dekhe vo agar chashm-e-siyah aur ye ḳhat-e-sabz
nargis kī siyah aañkh ho tuutī kī harī aañkh