mujh ko manzar ke sile meñ vo sadā bhejtā hai
ḳhuub vo qarz mirā kar ke adā bhejtā hai
sarparastī bhī vo kartā hai zabardastī se
dard kartā hai atā aur davā bhejtā hai
mere dushman kī hai talvār mirī gardan par
aur tū hai ki mujhe harf-e-duā bhejtā hai
saañp jab jhuuT ke duniyā meñ bahut ho jaa.eñ
dast-e-mūsā meñ ḳhudā sach kā asā bhejtā hai
'āftāb' us ne parakhnā ho kisī ko to agar
vo ġhanī kartā hai aur dar pe gadā bhejtā hai