mar jaane kī us dil meñ tamannā bhī nahīñ hai
andar se koī kahtā hai jiinā bhī nahīñ hai
gul ho ga.iiñ sham.eñ zarā tum jaao havāo
shāḳhoñ pe koī TūTne vaalā bhī nahīñ hai
ai sañg sar-e-rāh malāmat se guzar jā
terā bhī nahīñ hai koī merā bhī nahīñ hai
ahbāb kī chāhat pe shub.h bhī nahīñ hotā
ham jaisā magar koī akelā bhī nahīñ hai
tū chhoḌ gayā hai to koī ġham na kareñge
is daur meñ insān ḳhudā kā bhī nahīñ hai
ye kyā ki ḳhayāloñ se uḌī jaatī hai ḳhushbū
maiñ ne to abhī tak use sochā bhī nahīñ hai