na pūchh merī kahānī kahāñ se niklī hai
ye dāstāñ bhī tirī dāstāñ se niklī hai
jigar ko chiir liyā shauq meñ chaTānoñ ne
sadā-e-ishq jab āb-e-ravāñ se niklī hai
sabhī pe ḳhauf musallat thā nā-ḳhudāoñ kā
jo baat haq thī hamārī zabāñ se niklī hai
chhuā hai tujh ko to merā sulag uThā hai badan
ye kaisī aañch tire jism-o-jāñ se niklī hai
falak ke saare nazāre hue haiñ halqa-ba-gosh
barāt kis kī dar-e-kahkashāñ se niklī hai