Shahzad Anjum Burhani

sochiye gar use har nafas maut hai kuchh mudawa bhi ho be-hisi ke liye

Shahzad Anjum Burhani

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1986
sochiye gar use har nafas maut hai kuchh mudāvā bhī ho be-hisī ke liye
sūrajoñ kī virāsat milī thī hameñ dar-ba-dar ho ga.e raushnī ke liye
koī āvāz hai vo koī saaz hai us se hī rañg-o-nik.hat kā dar baaz hai
jis taraf ho nazar vo rahe jalva-gar kaise socheñge ham phir kisī ke liye
bad-dimāġhī mirī hai vahī jo ki thī tarz-e-ḳhud-bīñ tumhārā vo hai jo ki thā
chal rahe haiñ anā ke sahāre magar rāsta hī nahīñ vāpsī ke liye
ho salāmat mirā ishq josh-e-junūñ husn ke raaz ḳhud munkashif ho ga.e
itnī mushkil nahīñ rahguzār-e-fanā be-ḳhudī chāhiye āgāhī ke liye
is zamāne se koī tavaqqo na rakh kis meñ himmat hai ḳhanjar pe rakh de zabāñ
adl-gāhoñ meñ insāf bikne lagā sach bhī kahnā hai jurm aadmī ke liye
tum se ik ghūñT kī pyaas kyā bujh sakī jab ki vābastagī to samundar se thī
ham ne dariyāoñ tak kā safar tai kiyā apne be-ma.anī sī tishnagī ke liye
aadmī kī havas kā Thikānā nahīñ lekin 'anjum' ḳhudā se yahī māñgnā
ik vafādār biivī ho bachche hoñ ghar aur kyā chāhiye zindagī ke liye
Top Urdushayar.com