Shahzad Anjum Burhani

sochiye gar use har-nafas maut hai kuchh mudawa bhi ho be-hisi ke liye

Shahzad Anjum Burhani

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1986
sochiye gar use har-nafas maut hai kuchh mudāvā bhī ho be-hisī ke liye
sūrajoñ kī virāsat milī thī hameñ dar-ba-dar ho ga.e raushnī ke liye
koī āvāz hai vo koī saaz hai us se hī rañg-o-nik.hat kā dar-bāz hai
jis taraf ho nazar vo rahe jalva-gar kaise socheñge ham phir kisī ke liye
bad-dimāġhī mirī hai vahī jo ki thī tarz-e-ḳhud-bīñ tumhārā vo hai jo ki thā
chal rahe haiñ anā ke sahāre magar rāsta hī nahīñ vāpsī ke liye
ho salāmat mirā ishq josh-e-junūñ husn ke raaz ḳhud munkashif ho ga.e
itnī mushkil nahīñ rahguzār-e-fanā be-ḳhudī chāhiye āgahī ke liye
Top Urdushayar.com