har ek ḳhaliya ko ā.īna ghar banāte hue
bahut baTā huuñ badan mo'tabar banāte hue
mere nuzūl meñ saat āsmāñ kī gardish hai
utar rahā huuñ diloñ meñ bhañvar banāte hue
adam kī rag meñ jo ik lahar hai vahīñ se kahīñ
guzar gayā huuñ safar muḳhtasar banāte hue
mirī hathelī pe Thahrā hai irtiqā kā bahāo
jahāñ kī ḳhaak se apnā khañDar banāte hue
ki do jahān ke isbāt maiñ ne phūñke haiñ
tere sadaf meñ nafī kā guhar banāte hue
jagā.ūñ kis ke manāzir ufuq kī āñkhoñ meñ
ki maiñ hī ḳhvāb huā huuñ nazar banāte hue
'riyāz' phir se bhaTaktā hai jugnuoñ kī tarah
kisī kī raat meñ dil ko sharar banāte hue