khīñch kar le jā.egā anjān mahvar kī taraf
hai badan kā rāsta bāhar se andar kī taraf
vo bhī apne saañs ke sailāb meñ hai lāpata
jo mujhe phailā gayā mere hī manzar kī taraf
ab ḳhalāoñ ko sameTe har taraf hoñ gāmzan
aaj hai merā safar apne hī paikar kī taraf
koī to paanī kī vīrānī ko samjhegā kabhī
dekhtā rahtā huuñ ab maiñ bhī samundar kī taraf
zehn kī qabroñ meñ phir se suur gūñjā hai 'riyāz'
tañgi-e-iz.hār chal ik aur mahshar kī taraf