tāḳhīr aa paḌī jo badan ke zuhūr meñ
ham ne ḳhalā.eñ ghol diiñ bainassutūr meñ
miTTī ko apnī raat meñ tahlīl kar diyā
ik sar-zamīñ sameT lī tāroñ ke nuur meñ
mumkin hai tark hī kare vo hashr kā ḳhayāl
dil kā sukūt phūñk ke aayā huuñ suur meñ
ik nuqta-e-ġhayāb meñ Dhalne lage falak
bhaTkā huuñ itnī duur bhī tahtush-shu.ūr meñ
tajrīd-e-jāñ kī ik na.ī mantiq huuñ maiñ 'riyāz'
poshīda ho rahā huuñ ḳhud apne huzūr meñ