guzar chuke haiñ badan se aage najāt kā ḳhvāb ham hue haiñ
muhīt sāñsoñ ke paar jā kar bahut hī nāyāb ham hue haiñ
kisī ne ham ko atā nahīñ kī hamārī gardish hai apnī gardish
ḳhud apnī marzī se is jahāñ kī ragoñ meñ girdāb ham hue haiñ
ajiib kho.e hue jahānoñ kī guuñj hai apne gumbadoñ meñ
na jaane kis kī samā.atoñ ke mazār kā baab ham hue haiñ
jo ham meñ mismār ho chukā hai usī se tāmīr hai hamārī
adam ke patthar tarāsh kar hī abad kī mehrāb ham hue haiñ
tamām sat.heñ ulaT rahī haiñ hayāt kī maut kī ḳhudā kī
jo tere dil se ubhar ke aate haiñ aise sailāb ham hue haiñ
'riyāz' Dar hai kahīñ na āñkhoñ kī kashtiyoñ meñ chhupe samundar
jumūd TuuTā hai saarī maujoñ kā aise be-tāb ham hue haiñ