ek aalam ne jubba-sā.ī kī
ai buto tum ne bhī ḳhudā.ī kī
āshiqoñ ke lahū kī pyāsī haiñ
machhliyāñ us kaf-e-hinā.ī kī
zulf-e-pur-pech se jo dil uljhā
biich meñ raḳh paḌā safā.ī kī
murġh-e-be-bāl-o-par huuñ ai sayyād
aarzū hai kisī rihā.ī kī
ai junūñ dasht ko chaleñge ham
hai qasam is barahna-pā.ī kī
sar judā ham ne apnā kar Daalā
aa.ī jab guftugū judā.ī kī
phir gayā yaar ghar ke paas aa kar
baḳht-e-bargashta ne burā.ī kī
saikḌoñ jaame tujh pe phaTte haiñ
dhuum hai terī mīrzā.ī kī
tujh se to ham ko ai ḳham-e-abru
thī na ummīd kaj-adā.ī kī
koī qātil kī raah bhūlā thā
ai ajal tū ne rahnumā.ī kī
dil kahīñ aur ham ne aTkāyā
be-vafāoñ se bevafā.ī kī
na ga.ī zāhidoñ ke paas kabhī
duḳhtar-e-raz ne pārsā.ī kī
shahr meñ jā.egī mirī pā-posh
qadr vaañ kyā barahna-pā.ī kī
saaf hai aa.ina tan-e-pur-nūr
hai dalīl us pe ḳhud-numā.ī kī
kāsa-e-māh kyuuñ na ho pur-nūr
barsoñ us kūche kī gadā.ī kī
ka.aba-e-dil meñ bhī maqām kiyā
ai buto tum ne kyā rasā.ī kī
ḳhat ke aane pe bhī mukaddar hai
sūrat ab kaun sī safā.ī kī
bāl-o-par bhī ga.e bahār ke saath
ab to sūrat nahīñ rihā.ī kī
kis ke kūche kī raah bhūlā huuñ
ḳhizr ne bhī na rahnumā.ī kī
shaah kahlā.e har tarah se 'vazīr'
bādshāhī na kī gadā.ī kī