hadoñ ke na hone kī zillat se haare hue
abad ke mujassam kināre hamāre hue
nafas ke dayāroñ meñ gholā thā ik lams hī
nikal aa.e saare falak se utāre hue
ab apnī nafī meñ zarā ġhota-zan ho hī leñ
ki sadiyāñ huiiñ ḳhud ko ḳhud se ubhāre hue
parā.ī siyāhī kī āġhosh meñ kyā mile
jo ḳhud dil kī zad par jale vo sitāre hue
ḳhudā kī ḳhamoshī meñ shāyad ho us kā vajūd
zamāna huā naam apnā pukāre hue
adhūre jahānoñ ke tevar adhūre 'riyāz'
ye sab merī takmīl ke isti.āre hue