le jā.ūñ kahīñ un ko badan paar hī rakkhūñ
maiñ apnī ḳhalāoñ ko pur-asrār hī rakkhūñ
āñkhoñ se girūñ aur uThūñ dasht-e-falak tak
paanī huuñ to sat.heñ mirī hamvār hī rakkhūñ
duniyā ko bhī le aa.uuñ kabhī nok-e-zabāñ tak
ġhā.eb hai jo us ko sar-e-iz.hār hī rakkhūñ
lamhoñ kī darāḌoñ meñ ugā.ūñ koī jazba
hai vaqt khañDar to use mismār hī rakkhūñ
ījād karūñ saat samāvāt kā chehra
chehre pe tire lams ko bedār hī rakkhūñ
anfās ke nuqte meñ simaT aa.uuñ 'riyāz' ab
yuuñ apne bikharne ke kuchh āsār hī rakkhūñ