ḳhalā kī ruuh kis liye ho mere iḳhtiyār meñ
uḌaan kā to zikr tak na thā mire farār meñ
kabhī to manzaroñ ke is tilism se ubhar sakūñ
khaḌā huuñ dil kī sat.h par ḳhud apne intizār meñ
ye sā.atoñ kī bhiiḌ ne use gañvā diyā na ho
rakhā thā maiñ ne ek lams vaqt kī darār meñ
safar meñ marhaloñ kī rasm bhī hai ab bujhī bujhī
vahī purānī gard hai har ik na.e ġhubār meñ
abad kī sarhadoñ ke paar bhī hadoñ kā shor thā
thī paikaroñ kī dāstāñ ḳhalā ke shāhkār meñ
ye jism kyuuñ ye ruuh kyuuñ hayāt kyuuñ 'riyāz' kyuuñ
sifar sifar kī guuñj hai talāsh ke mazār meñ