Khwaja Mohammad Wazir

KHuda-numa hai but-e-sang-e-astana-e-ishq

Khwaja Mohammad Wazir

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1854
ḳhudā-numā hai but-e-sañg-e-āstāna-e-ishq
chalūñgā pā-e-nigah ban ke sū-e-ḳhāna-e-ishq
na kam hoñ sikka-e-dāġh-e-dil-e-yagāna-e-ishq
bharā paḌā rahe yārab sadā ḳhazāna-e-ishq
jabīn-e-qais banī sañg-e-āstāna-e-ishq
junūñ hai ḳhema-e-lailā siyāh-ḳhāna-e-ishq
mudām dil meñ rahe dāġh-e-ulfat-e-sāqī
na be-charāġh ho yārab sharāb-ḳhāna-e-ishq
ye mahfil-e-tarab-e-husn hai nahīñ maqtal
sadā gulū-e-burīda kī hai tarāna-e-ishq
ye kah ke phirtī hai din raat āsiyā-e-falak
mile to ḳhirman-e-mah de ke luuñ maiñ dāna-e-ishq
hai āftāb piyāla farishta-ḳhū saaqī
ḳham-e-falak hai subū-e-sharāb-ḳhāna-e-ishq
bas ek haath meñ do ho ke maiñ zamīñ pe girā
qazā jo aa.ī adā ho gayā dogāna-e-ishq
har ek gaam pe dil pīstā hai ablaq-e-chashm
magar hai surme kā dumbāla tāziyāna-e-ishq
jalāyā tuur ko ik dam meñ sā.iqa ban kar
sharar-fishāñ jo huā sañg-e-āstāna-e-ishq
ho ḳhāna-e-sadaf-e-dil na kis tarah pur-nūr
ki aap hai guhar-e-shab-charāġh dāna-e-ishq
buto ḳhudā ne kahā fis-samā-e-rizqokum aap
milā hai mujh ko ye haft āsiyā se dāna-e-ishq
ye sach masal hai buto sab kā hai ḳhudā razzāq
nasīb-e-tā.ir-e-dil hai azal se dāna-e-ishq
jo ḳhaal ban ke ḳhat-e-ruḳh meñ dil rahe merā
kahūñ maiñ ḳhirman-e-mah meñ milā ye dāna-e-ishq
kisī ke abrū-e-pur-ḳham kā dhyān rahtā hai
hamārā ka.aba-e-dil hai siyāh-ḳhāna-e-ishq
sadā-e-mātam-e-dil sun ke ḳhush vo hote haiñ
navā-e-sīna-zanī hai ki shādiyāna-e-ishq
jo shauq-e-dīd hai muusā kī tarah ek na sun
ki lantarānī-e-ishq hai tarāna-e-ishq
naqāb udhar vo uThā.eñ idhar maiñ aah karūñ
samand-e-husn pe paḌ jaa.e tāziyāna-e-ishq
jo toliye ise kaunain kī tarāzū meñ
garāñ ho vazn meñ na āsiyā se dāna-e-ishq
faroġh-e-bazm-e-tasavvur hai yaad pistāñ kī
habāb-e-husn bane haiñ charāġh-e-ḳhāna-e-ishq
ḳhayāl-e-gauhar-e-dandāñ meñ ham jo rote haiñ
sarishk-e-dīda-e-tar hai dur-e-yagāna-e-ishq
hai mere dil kī tarah is se ye pareshāñ-hāl
milā hai zulf ko husn-e-siyāh-ḳhāna-e-ishq
chaḌhā jo daar pe āshiq kā sar huā sardār
judā hai ḳhāna-e-ālam se kārḳhāna-e-ishq
ḳhudā kā ghar ho jo TuuTe jihād-e-nafs se dil
ḳharāb ho to bane lā-makāñ ye ḳhāna-e-ishq
vo dil lagā ke suneñ dāstān kī sūrat
bayān kījiye us husn se fasāna-e-ishq
'vazīr' tuḳhm-e-mohabbat ko dil meñ bo apne
zamīñ vo shor hai jis meñ uge na dāna-e-ishq
Top Urdushayar.com