kināra-dar-kināra mustaqil mañjdhār hai yuuñ bhī
mire paanī meñ jo kuchh hai vo yuuñ pur-asrār hai yuuñ bhī
bahā jaatā huuñ aksar duur lamhoñ ke hisāroñ se
mire Thahrāo ke āġhosh meñ raftār hai yuuñ bhī
kahāñ ḳhaliyoñ ke vīrānoñ meñ us ko DhūñDne jaa.eñ
zamānoñ kā sirā mere sire se paar hai yuuñ bhī
yahāñ se yuuñ bhī ik tajrīd kī sarhad ubhartī hai
aur apne darmiyāñ anfās kī dīvār hai yuuñ bhī
hamāre gumbadoñ kī guuñj kā chehrā nahīñ to kyā
jo tujh se kah nahīñ sakte pas-e-iz.hār hai yuuñ bhī
rahā kyā farq andar aur bāhar meñ 'riyāz' āḳhir
jo mujh meñ kho chukā hai mujh se vo sab paar hai yuuñ bhī