sab ḳhalāoñ ko ḳhalāoñ se bhigo saktā hai
aadmī ruuh ke andar bhī to ro saktā hai
ye siyāhī kā sirā jaane kahāñ haath aa.e
mirā saayā tirā bātin bhī to ho saktā hai
dastaras tere samundar kī hai tujh se bhī pare
tū mujhe aañkh se bāhar bhī Dubo saktā hai
le to aayā hai mujhe maut kī gardish se alag
tū mujhe saañs ke mahvar pe bhī kho saktā hai
apne anfās kī tahrīk pe bikhrā hai magar
tū mere lams meñ yakjā bhī to ho saktā hai
terī miTTī ne samoyā nahīñ to kyā hai 'riyāz'
tū to is jism ke bāhar kahīñ so saktā hai