tamām ḳhaliyoñ meñ aksar sunā.ī detā hai
har ik jahān meñ mahshar sunā.ī detā hai
jo chhū ke dekhūñ to gardish kī tah meñ gardish hai
dharūñ jo kaan to mahvar sunā.ī detā hai
hazār mīloñ bichhī irtiqā kī miTTī par
badan meñ ab bhī samundar sunā.ī detā hai
lachaktī raat meñ sayyārgāñ kī chaap suno
jo mujh meñ jazb hai bāhar sunā.ī detā hai
zamīn phail ga.ī hai hamārī ruuh talak
jahāñ kā shor ab andar sunā.ī detā hai
zabāñ ke ġhaar se pahuñche sukūt tak to ab
ajiib lahjoñ meñ manzar sunā.ī detā hai
tamaddunoñ ke har āhañg kā tazād 'riyāz'
jo duur jā.ūñ to behtar sunā.ī detā hai