Riyaz Latif

jal ragon ka gunj lahu ki sans ke tewar bhul gae

Riyaz Latif

Ahmedabad, Gujarat, India

1964
jaal ragoñ kā guuñj lahū kī saañs ke tevar bhuul ga.e
kitnī fanā.eñ kitnī baqā.eñ apne andar bhuul ga.e
janam janam tak qaid rahā ik be-ma.anī añgḌā.ī meñ
maiñ huuñ vo mehrāb jise mere hī patthar bhuul ga.e
jaane kyā kyā giit sunā.e gardish kī sargoshī ne
be-chehra sayyāre mujh meñ apnā mehvar bhuul ga.e
biitī huī sadiyoñ kā tamāshā aane vaale kal kā bhañvar
aate jaate lamhe mujh meñ apnā paikar bhuul ga.e
ab bhī chāroñ samt hamāre duniyā.eñ harakat meñ haiñ
ham bhī be-dhyānī meñ kyā kyā jism ke bāhar bhuul ga.e
duur kināroñ kī retoñ par khoj rahe haiñ aaj 'riyāz'
kis kī suunī āñkhoñ meñ ham apne samundar bhuul ga.e
Top Urdushayar.com