saa.e meñ ābloñ kī jalan aur baḌh ga.ī
thak kar jo baiThe ham to thakan aur baḌh ga.ī
kal is qadar thā habs hamāre makān meñ
sankī havā zarā to ghuTan aur baḌh ga.ī
kāñToñ kī guftugū se ḳhalish dil meñ kam na thī
phūloñ ke tazkire se chubhan aur baḌh ga.ī
ye bāġhbāñ hamāre lahū kā kamāl hai
nairañgī-e-bahār-e-chaman aur baḌh ga.ī
ye hijr kī hai aag mizāj us kā aur hai
ashkoñ se sho.alagī-e-badan aur baḌh ga.ī
sairāb kar sakā na use merā ḳhuun bhī
kuchh tishnagī-e-dār-o-rasan aur baḌh ga.ī
harf-e-sipās pesh kiyā jab bhī vo milā
lekin jabīñ pe us kī shikan aur baḌh ga.ī
tahrīr kī jo ek ġhazal us ke naam par
'ejāz' ābrū-e-suḳhan aur baḌh ga.ī