zālim se mustafā kā amal chāhte haiñ log
sūkhe hue daraḳht se phal chāhte haiñ log
kaafī hai jin ke vāste chhoTā sā ik makāñ
pūchhe koī to shīsh-mahal chāhte haiñ log
saa.e kī māñgte haiñ ridā āftāb se
patthar se aa.ine kā badal chāhte haiñ log
kab tak kisī kī zulf-e-pareshāñ kā tazkira
kuchh apnī uljhanoñ kā bhī hal chāhte haiñ log
bār-e-ġham-e-hayāt se shāne hue haiñ shal
uktā ke zindagī se ajal chāhte haiñ log
rakhte nahīñ nigāh taqāzoñ pe vaqt ke
tālāb ke baġhair kañval chāhte haiñ log
jis ko bhī dekhiye hai vahī dushman-e-sukūñ
kyā daur hai ki jañg-o-jadal chāhte haiñ log
darkār hai najāt ġham-e-rozgār se
mirrīḳh chāhte haiñ na zuhal chāhte haiñ log
'ejāz' apne ahd kā maiñ tarjumān huuñ
maiñ jāntā huuñ jaisī ġhazal chāhte haiñ log