rañg mausam ke saath laa.e haiñ
ye parinde kahāñ se aa.e haiñ
baiTh jaate haiñ rāh-rau thak kar
kitne himmat-shikan ye saa.e haiñ
dhuup apnī zamīn hai apnī
peḌ apne nahīñ parā.e haiñ
apne ahbāb kī ḳhushī ke liye
bilā-irāda bhī muskurā.e haiñ
dushmanoñ ko qarīb se dekhā
dostoñ ke fareb khaa.e haiñ
ham ne toḌā hai zulmatoñ kā fusūñ
raushnī ke bhī tiir khaa.e haiñ
dekh le muḌ kar mahv-e-ārā.ish
ā.īna ban ke ham bhī aa.e haiñ
pai-ba-pai raah kī shikastoñ ne
hausle aur bhī baḌhā.e haiñ
zindagī hai usī kā naam 'ejāz'
haiñ vo apne jo ġham parā.e haiñ