hañsī laboñ pe sajā.e udaas rahtā hai
ye kaun hai jo mire ghar ke paas rahtā hai
ye aur baat ki miltā nahīñ koī us se
magar vo shaḳhs sarāpā sipās rahtā hai
jahāñ pe Duub gayā merī aas kā sūraj
usī jagah vo sitāra-shanās rahtā hai
guzar rahā huuñ maiñ saudā-garoñ kī bastī se
badan pe dekhiye kab tak libās rahtā hai
likhī hai kis ne ye tahrīr reg-e-sāhil par
bahut dinoñ se samundar udaas rahtā hai
maiñ vahshatoñ ke safar meñ bhī huuñ kahāñ tanhā
yahī gumāñ hai koī ās-pās rahtā hai
maiñ guftugū ke har andāz ko samajhtā huuñ
ki merī zaat meñ lahja-shanās rahtā hai
vo fāsloñ meñ bhī rakhtā hai rañg qurbat ke
nazar se duur sahī dil ke paas rahtā hai
jab un se guftugū kartā hai koī bhī 'ejāz'
ik iltimās pas-e-iltimās rahtā hai