miT gayā ġham tire takallum se
lab hue āshnā tabassum se
kis ke naqsh-e-qadam haiñ rāhoñ meñ
jagmagāte haiñ māh-o-anjum se
hai zamāna baḌā zamāna-shanās
kabhī mujh se gilā kabhī tum se
nāḳhudā bhī milā to aisā milā
āshnā jo nahīñ talātum se
us ne aa kar mizāj pūchh liyā
ham to baiThe hue the gum-sum se
nāḳhudā ne Dubo diyā un ko
vo ki jo bach ga.e talātum se
zindagī hādsoñ kī zad meñ hai
koī kaise bache tasādum se
sāya-e-gul meñ baiThne vaalo
guftugū hogī daar par tum se
maiñ ġhazal kā asiir huuñ 'ejāz'
sher paḌhtā huuñ maiñ tarannum se