use ye haq hai ki vo mujh se iḳhtilāf kare
magar vajūd kā mere bhī e'tirāf kare
use to apnī bhī sūrat nazar nahīñ aatī
vo apne shīsha-e-dil kī to gard saaf kare
kiyā jo us ne mire saath nā-munāsib thā
muaaf kar diyā maiñ ne ḳhudā muaaf kare
vo shaḳhs jo kisī masjid meñ jā nahīñ saktā
to apne ghar meñ hī kuchh roz etakāf kare
vo aadmī to nahīñ hai siyāh patthar hai
jo chāhtā hai ki duniyā mirā tavāf kare
vo kohkan hai na hai us ke haath meñ tesha
magar zabān se jab chāhe vo shigāf kare
maiñ us ke saare naqā.is use batā dūñgā
anā kā apne badan se judā ġhilāf kare
jise bhī dekhiye patthar uThā.e phirtā hai
koī to ho mirī vahshat kā e'tirāf kare
maiñ is kī baat kā kaise yaqīñ karūñ 'ejāz'
jo shaḳhs apne usūloñ se inhirāf kare