Aftab Shah Alam Sani

go sudh nahin us shoKH sitamgar ne sambhaali

Aftab Shah Alam Sani

Delhi, India

1728-1806
go sudh nahīñ us shoḳh sitamgar ne sambhālī
tis par bhī koī baat adā se nahīñ ḳhālī
kuchh hosh nahīñ mujh meñ rahā jab se pilā.ī
us nargis-e-maḳhmūr kī saaqī ne pyālī
shabnam ke araq meñ huā ḳhajlat siitī gul-e-tar
dekhī jo lab-e-lāl kī us shoḳh ke laalī
ve ġhair hī haiñ jin kī har ik baat ho sunte
ham ne to jo kuchh arz kī so sunte hī Taalī
tausīf koī kar sake kyā ai 'shah-e-ālam'
rutba hai tere sher kā guftār se aalī
Top Urdushayar.com