aajiz huuñ tire haath se kyā kaam karūñ maiñ
kar chaak garebāñ tujhe badnām karūñ maiñ
hai daur-e-jahāñ meñ mujhe sab shikva tujhī se
kyuuñ kuchh gila-e-gardish-e-ayyām karūñ maiñ
aave jo tasarruf meñ mire mai-kada saaqī
ik dam meñ ḳhumoñ ke ḳhumeñ in.aam karūñ maiñ
hairāñ huuñ tire hijr meñ kis tarah se pyāre
shab roz ko aur sub.h ke ta.iiñ shaam karūñ maiñ
mujh ko shah-e-ālam kiyā us rab ne na kyūñkar
allāh kā shukrāna in.aam karūñ maiñ