Aftab Shah Alam Sani

jab wo nazren do-chaar hoti hain

Aftab Shah Alam Sani

Delhi, India

1728-1806
jab vo nazreñ do-chār hotī haiñ
tiir sī dil ke paar hotī haiñ
ranjisheñ merī aur us gul kī
raat din meñ hazār hotī haiñ
ishq meñ be-hijābiyāñ dil ko
kyā hī be-iḳhtiyār hotī haiñ
tū jo jaatā hai baaġh meñ ai gul
bulbuleñ sab nisār hotī haiñ
qumriyāñ bandagī meñ tujh qad kī
sar-ba-sar tauq-e-dār hotī haiñ
'āftāb' us ke vasl kī bāteñ
bā.is-e-iztirār hotī haiñ
Top Urdushayar.com