Khwaja Mohammad Wazir

ezar-e-yar pe zulf-e-siyah-fam nahin

Khwaja Mohammad Wazir

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1854
ezār-e-yār pe zulf-e-siyāh-fām nahīñ
magar ye hashr kā din hai ki jis kī shaam nahīñ
firāq-e-yār meñ dono se ham ko kaam nahīñ
havas sahar kī nahīñ ārzū-e-shām nahīñ
vilā-e-kāba-e-abrū se muñh ko kyā pherūñ
namāz ḳhatm na ho jab talak salām nahīñ
ye saif aap kī misl-e-parī-sahī-qad hai
magar ye aib hai chaltī nahīñ ḳhirām nahīñ
kaho na sarv ko ik zar-ḳharīd hī apnā
kiyā jo bande ko āzād phir ġhulām nahīñ
nahīñ i.āda-e-tā.at ko peshvā darkār
qazā namāz ko kuchh hājat-e-imām nahīñ
kisī tarah shab-e-furqat basar nahīñ hotī
kuchh is ko gardish-e-ayyām se bhī kaam nahīñ
jo us ne baat na kī ho gayā mujhe isbāt
dahan vo tañg hai gunjā.ish-e-kalām nahīñ
bujhī hai aab se kyā terī teġh-e-tez kī aañch
ki ḳhūñfishāñ mire dil kā kabāb-e-ḳhām nahīñ
phirī hai furqat-e-jānāñ meñ chashm-e-duḳhtar-e-raz
ye gardish aañkh kī saaqī hai daur-e-jām nahīñ
na dekhā naqsh qadam kā sadā-e-pā na sunī
samand-e-umr sā koī subuk ḳhirām nahīñ
barahna rahtī hai shamshīr-e-abrū-e-qātil
misāl-e-teġh-e-ajal hājat-e-niyām nahīñ
bañdheñ vo haath hinā se kiyā hai jin se shahīd
kuchh aur yaar se manzūr intiqām nahīñ
na daaġh do shab-e-furqat kā din ko naam na lo
abhī charāġh na raushan karo ki shaam nahīñ
jigar se siine se dil se guzar ga.ī dam meñ
tirī tarah tirī talvār ko qayām nahīñ
sitāra-e-falak-e-husn kahiye kam-sin hai
abhī vo chāñd kā TukḌā mah-e-tamām nahīñ
phire talab meñ jo duniyā kī vo nahīñ dīñ-dār
misāl-e-dāna jo gardish meñ hai imaam nahīñ
na ḳhatt-e-mus.haf-e-āriz kā mo'taqid ho 'vazīr'
hurūf jis meñ hoñ allāh kā kalām nahīñ
Top Urdushayar.com