Aftab Shah Alam Sani

dekho to kis ada se ruKH par hain Dali zulfen

Aftab Shah Alam Sani

Delhi, India

1728-1806
dekho to kis adā se ruḳh par haiñ Daalī zulfeñ
juuñ maar Dastī haiñ dil dilbar kī kaalī zulfeñ
chāhe haiñ jis na tis ko bāñdheñ girah meñ apnī
dil lene ko balā haiñ ye pech vaalī zulfeñ
misl-e-salāsil is meñ uqde hazār-hā haiñ
Tuk pech-o-tāb se maiñ dekhīñ na ḳhālī zulfeñ
mār-siyah judā kab rahtā hai gañj-e-zar se
hotī nahīñ haiñ us ke ruḳh se nirālī zulfeñ
thī raat jo yakāyak din dekhne lage sab
jab 'āftāb' us ne ruḳh se uThā lī zulfeñ
Top Urdushayar.com