paatā nahīñ huuñ aur kisī kaam se lazzat
jo kuchh ki maiñ paatā huuñ tire naam se lazzat
kaifiyateñ is dīda-e-maigūñ se jo pā.īñ
paa.ī na kabhī baade se aur jaam se lazzat
zāhir hai tirī nargis-e-maḳhmūr se mastī
Tapke hai tire lāl-e-mai-āshām se lazzat
paatā huuñ mazā bekalī aur dard kā aisā
paave hai koī jaise ki ārām se lazzat
rakhtā hai havas bose kī tere shah-e-'ālam'
pāvegā bahut tere is in.aam se lazzat