tirī talāsh meñ guzre ka.ī zamāne mujhe
ḳhudā hī jaane tū jaane hai yā na jaane mujhe
dhuāñ dhuāñ haiñ jahāñ par ḳhayāl kī rāheñ
misāl-e-gard uḌāyā tirī havā ne mujhe
na is tarah mujhe dekho ki jaise patthar huuñ
jo ho sake to pukāroñ kisī bahāne mujhe
vo baat baat pe hañsnā tirī adā hī sahī
tamām umr rulāyā hai is adā ne mujhe
lagā hai jab bhī koī zaḳhm muskurāyā huuñ
ye taab dī hai tire dard-e-lā-davā ne mujhe
tasavvurāt ke sahrā meñ jal bujhā huuñ 'salīm'
na chhāñv baḳhshī kisī husn-e-gul-ridā ne mujhe