Khwaja Mohammad Wazir

jo KHas bande hain wo banda-e-awam nahin

Khwaja Mohammad Wazir

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1854
jo ḳhaas bande haiñ vo banda-e-avām nahīñ
hazār baar jo yūsuf bike ġhulām nahīñ
bhalā ho kyā dil zāhid meñ soz-e-ulfat-e-haq
kabhī jalāne ke qābil charāġh-e-ḳhām nahīñ
gilā hai chashm-e-suḳhan-go se ḳhāmushī kā hameñ
dahan ke hone na hone meñ kuchh kalām nahīñ
tū āftāb hai zulf-e-siyah nahīñ to na ho
charāġh-e-roz ko kuchh ehtiyāj-e-shām nahīñ
aziiz āshiq-e-gumnām kā hai dil us ko
nagīñ vo haath meñ rakhtā hai jis meñ naam nahīñ
bas ek haath meñ do ho ke paḌh dogānā-e-ishq
jo be-namāz hai vo qābil-e-salām nahīñ
ye sar jhukānā ye muñh phernā hai maan.e diid
mirī namāz meñ sajda nahīñ salām nahīñ
vo mujh pe marne lagī jo hai mire darpai-e-qatl
ilāhī is ke sivā aur intiqām nahīñ
firāq-e-yār meñ dast-e-subū uḌāte haiñ ḳhaak
ye gard-bād hai gardish meñ apnā jaam nahīñ
na hañs rulā.egā tujh ko ḳhumār-e-bāda-e-aish
mai-nashāt to is bazm meñ mudām nahīñ
phañse na qaid-e-ta.alluq meñ jo ki hai āzād
chaman meñ tā.ir-e-nik.hat asīr-e-dām nahīñ
vo dil ho chaak nahīñ ishq kā nishāñ jis meñ
nagīñ vo TuuTe mohabbat kā jis meñ naam nahīñ
rahegā hijr kā din kab kaTe agar shab-e-vasl
mudām roz-e-qayāmat ko bhī qayām nahīñ
bane jo baal kā phandā tumhārī teġh kā baal
to murġh-e-jāñ ke liye behtar is se daam nahīñ
mai-do-ātisha-e-kufr-o-dīñ se ḳhalq hai mast
magar sharāb ye ham-mashrabo harām nahīñ
pukārā apnā gadā kah ke mujh ko ai shah-e-husn
faqīr huuñ tire dar kā 'vazīr' naam nahīñ
Top Urdushayar.com