chalā hai o dil-e-rāhat-talab kyā shādmāñ ho kar
zamīn-e-kū-e-jānāñ rañj degī āsmāñ ho kar
kiyā vīrāñ chaman ko aa.e ho kyā bostāñ ho kar
hue gul paanī paanī ye chalī āb-e-ravāñ ho kar
isī ḳhātir to qatl-e-āshiqāñ se man.a karte the
akele phir rahe ho yūsuf-e-be-kārvāñ ho kar
javāb-e-nāma kyā laayā tan-e-be-jāñ meñ jaan aa.ī
gayā yaañ se kabūtar vaañ se aayā murġh-e-jāñ ho kar
ġhazab hai ruuh se is jāma-e-tan kā judā honā
libās-e-tañg hai utregā āḳhir dhajjiyāñ ho kar
agar āhista bolūñ nā-tavānī kahtī hai bas bas
sadā-e-jumbish-e-lab dete hī sadme fuġhāñ ho kar
izār-e-ātishīñ ḳhatt-e-siyah ik din nikālegā
rulā.egā ye sho.ala merī āñkhoñ kā dhuāñ ho kar
mukaddar ho agar lo mujh ko gaaḌo is taraf dekho
ki zer-e-ḳhāk huuñ gard-e-nigah se nā-tavāñ ho kar
kiyā ġhairoñ ko qatl us ne mue ham rashk ke maare
ajal bhī dosto aa.ī nasīb-e-dushmanāñ ho kar
phirā sad-chāk ho kar kūcha-e-kākul se dil apnā
azīzo yūsuf-e-gum-gashta aayā kārvāñ ho kar
kamān abrū kī aise narm hai aa.egā jo nāvak
rahegā ustuḳhvāñ meñ apne maġhz-e-ustuḳhvāñ ho kar
chhuḌā.ī chuus kar ham ne misī to kyā hai sharmāyā
lab us mahjūb kā chhupne lagā muñh meñ zabāñ ho kar
falak merī tarah āḳhir tujhe bhī piis Dālegā
uḌegā ai humā ik roz gard-e-ustuḳhvāñ ho kar
humā se hai kaḌāpan ai sag-e-jānāñ jo tū khaa.e
mulā.em ustuḳhvāñ ho jaa.eñ maġhz-e-ustuḳhvāñ ho kar
jahāñ jo chāhiye vaisī hī vo dikhlā.e nairañgī
basar āñkhoñ meñ goyā.ī zabāñ meñ dil meñ jaañ ho kar
sitam kar us ke ye dekhe to ḳhūñ-rezī pe maa.il ho
kare sañg-e-malāmat tez ḳhanjar ko fasāñ ho kar
nahāne meñ jo lahrātī hai zulf-e-yār dariyā meñ
taḌapne lagtī haiñ paanī pe maujeñ machhliyāñ ho kar
udāsī jhuk ke milte ho nigah se qatl karte ho
sitam-ījād ho nāvak lagāte ho kamāñ ho kar
uThā.egī jo ham ko vahshat-e-dil yaar ke dar se
gireñge pā.ezī paañv pe apne beḌiyāñ ho kar
kahā jo us ne chāhā zo.af se yaañ lab nahīñ milte
subuk kar detī haiñ harf-e-suḳhan bār-e-garāñ ho kar
asar baaqī rahā balbe shab-e-furqat kī tārīkī
charāġh-e-rose se sho.ala nikal aayā dhuāñ ho kar
ḳhat-e-nau-ḳhez meñ aariz jo tere chhupte jaate haiñ
parī ban jā.eñge is sabz shīshe meñ nihāñ ho kar
girā qadmoñ pe said-e-nā-tavāñ thā haath se chhuT kar
jagah de ab to naqsh-e-pāe-e-sayyād āshiyāñ ho kar
tire vahshī ko barsoñ ai parī kab niiñd aatī hai
agar ḳhvāb-e-girāñ aayā bhī to sañg-e-girāñ ho kar
'vazīr' us kā huuñ maiñ shāgird jis ko kahte haiñ munsif
liyā mulk-e-ma.ānī bādshāh-e-shā.irāñ ho kar