qahqahoñ kī zad se ye gauhar chhupā
apnī daulat sab se chashm-e-tar chhupā
aag barsegī abhī kuchh der meñ
chhoḌ merī fikr apnā sar chhupā
vus.at-e-ālam meñ gunjā.ish nahīñ
mujh ko apnī zaat ke andar chhupā
kaam aa.egā bure auqāt meñ
ḳhāna-e-dil meñ zarā sā shar chhupā
us ḳhamoshī ko samajh luuñ ehtirām
yā tire dil meñ hai merā Dar chhupā
apnī shaḳhsiyyat kī 'jāmid' laaj rakh
jo pas-e-parda hai vo manzar chhupā