Naseem Noor Mahali

na shikwa lab tak aaega na nala dil se niklega

Naseem Noor Mahali

na shikva lab tak aa.egā na naala dil se niklegā
mire zabt-e-mohabbat kā bharam mushkil se niklegā
na hasrat dil se niklegī na armāñ dil se niklegā
jo is phande meñ phañs jā.egā vo mushkil se niklegā
ḳhudā rakkhe ye pās-e-vaz.a meñ tum se bhī baḌh kar hai
tumhīñ aa kar nikāloge to armāñ dil se niklegā
bahut ro.egī duniyā us bashar kī bad-nasībī par
jo dāġh-e-ārzū le kar tirī mahfil se niklegā
na khīñch ai mehrbāñ siine se mere tiir rahne de
nikal jā.egā dam merā jo paikāñ dil se niklegā
ye maujoñ ke nahīñ ai nā-ḳhudā taqdīr ke bal haiñ
safīna ġharq ho kar dāman-e-sāhil se niklegā
jo dam nikle to merī mushkileñ āsān ho jaa.eñ
magar ye bhī to mushkil hai ki dam mushkil se niklegā
'nasīm' achchhī ġhazal par daad deñge ahl-e-dil dil se
utar jā.egā dil meñ sher jo bhī dil se niklegā
Top Urdushayar.com